Suni Shaam..

Aaj ek suni shaam hai. Kuch bichhad gaya hai apne aap se. Ek Hasi, ek aawaz, ek nishchal prem se bhari aankhe. Vo vishudh bhav jo hum khud ko sachha aur achha batane valon me nahi hai. Ek aanchal jisme  khud ko chhupa lete the hum, vo aanchal abb khud se chhut kar gagan me swachhand udd chala hai, abb dur dur tak dikhai bhi ni de raha hai. Par kya vo dekh pa ra hai mujhe.., pata ni.., kya vo bhi gamgeen hai.., pata ni.. Vo to abb saare moh se mukt hai. Vo jiske man me kabhi kisi ke liye koi dwesh ni jaga. Vo aaj bhi ussi saaf man aur aatma se mukt vicharan kar raha hai. Ha hamara jeevan ruk gaya hai kuch samay ke liye. Shayad isliye bhi ki iss moh se abhi chhut ni paye hain hum! Kyunki abb bhi iss nashwar sansaar me hain hum. Par koi baat ni thoda samay aur guzarna hai yahan.., fir hum milenge issi gagan me swatantra, jaise ye suraj ki kirane milti hain, jaise ye hawa chalti hai, jaise ye nadi beheti hai.. jo kabhi ni rukte.., na hi kisi ke jane se aur na hi kisi ke aane se!

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.