Poos ki Doopeher!

Poos ki Doopeher:

Waise to Poos ki Doopeher hamesha hi achhi hoti hai, jaha Jeeth ka Aag ugalta Suraj Poos me sabko sukun deta hai., aur jaha bachhe iss dhup me apne  dada dadi ke sath thand ki chhutiyan manate hain. Par ye sab abb bachpan ki baatein lagti hain. Abb Poos ki Doopeher ussi halki dhup k sath aur bhi zyada thandi ho gai hai maano hawa ka zor dhup se bhi zyada ho gaya hai.

Ye thandi hawa ka jhonka badan me kaaton ki tarah chubhne lagta hai. Iss dhop ka bhi uss par koi asar ni hota. Ek ajeeb sa sanata hai iss Poos ki doopeher me jaise ye hisab leti hai sari zindagi ka, sirf ye batane k liye ki zindagi me hamne kuch bhi paya hi nahi, sirf khoya hai. Samay ke har ek pal me zindagi ka ek-ek pal khoya hai jo abb kabhi vapas ni aayega. Jo sirf hame masaan ki taraf hi le jayega. Zindagi ki iss hod me aankhe budi hoti chali jati hain. Apno aur apnen aap ko kho dene ke darrr me ye kandhe jhukte chale jate hain. Jeevan ki sachhai dundhane me jild sikudti chali jati hai.Par ye Poos ki Doopeher kabhi budi ni hoti. Har saal aati hai hamen jeevan ki schhai dikhane aur apni iss kabhi na dhalne vali Umra pe itrane.

One thought on “Poos ki Doopeher!

Leave a comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.