Antyeshti..

Antyeshti:

Bht bheed juti hai aaj uss photo ko phool chadaane jo inhe dekhne ke liye aaj yaha ni hain. Vo chehra, vo aawaz jo logo ke aane se khush hote the, vo aaj iss duniya me nahi hain. Kitna achambhit karne vaal hai ye sach ki kal tak jo hamare sath baith kar chai peete the aaj vo kahi bhi nahi hain. Sab kuch hai unka, unke kapde, unke gehne… bus vo hi nahi hain. Kuch samay pehle tak unka sharir tha par vo ni the. Hum uss sharir se bhi ni bol sakte the ki unke bina hamara jeevan kuch bhi ni par vo the ki bol hi nahi rahe the. Vo the ki bhishma pratigya kar li thi kuch na bolne ki. Sabko dukhi karne ki. Par usse bhi zyada achambhit karne vali baat ye hai ki vo uss laailaaj bimari se ni mare jo ki unhe thi balki vo apni ichha se mare. Aur ek hum iss nashwar sansaar me inn nashwar samaanoo ke sath jo ye manane ko taiyar hi ni ki yahi sach hai……….

Leave a comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.