Naya Saal:
Iss dhalti shaam ke sath ek aur din bhi guzar raha hai, Par ye koi aam din nahi balki Saal ka pehla din hai.
Samay to guzar raha hai par kya iss samay ke sath kuch badla hai…. Ha.. bht kuch…Kuch achha aur kuch dil ko dhakka dene vala. Ek hath chhut jaan ek darr me pura saal nikal gaya aur jaate-jaate vo hath chhut gaya jisne shaayad khud bhi ni socha hoga ki ye uski zindagi ka aakhri saal hai.
Agar usse pata hota to shaayad vo apne kuch aur sapne pure kar leta, shaayad vo aur zyada hass leta, ya fir iss gum me aur zyada dukhi ho jata ki ye uski zindagi ka aakhri saal hai. Usse too kya hume bhi kaha pata tha ki saal ke iss pehle din hum uski rakh me uski asthiyan dhundh rahe honge. Jise god me khilaya usse jala ke rakh kar chuke honge. Pata to hume bhi ni tha ki jise dekhne ko aankhe taras rahi hain vo hai ki sirf behete aasuon me hi nazar aa raha hai. Pata to hume bhi ni tha ki iss naye saal ko hum uske sath ni bulki aasuon me behti uski yaadon ke sath manayenge.
Iss samay ke sath ek aur naya adhyaya jhud gaya hai. Kal tak jo hamare sath hasta tha aaj vo hamare aasuon pe hass raha hai, Har bandhan se pare jo ho gaya hai vo. Aur samay hai ki aise bhag raha hai jaise hume ni balki isse hi kahi jaana hai.