Khwahishen hi Khwahishen hain, anginat Khwahishen hain.
janati hun inka koi ant nahi, sab jhuti Khwahishen hain.
Par fir bhi din-raat tumhari hi Khwahishen hain.
Khwahish hai ki iss chandani raat me bas tumhara sath ho,
Tumhare kandhe par sir rakh kar do pal ko mai bhi susta lun.
Bht hui veer ras aur balidaan ki baatein, abb thoda prem geet gane ki Khwahishen hain.
Duniye ke bhog-vilaas se dur abb tumhara daaman thamne ki Khwahishen hain.
Aur tabhi hava ka ek jhonka mujhe sehlate hue nikalta hai aur need khul jati hai meri.
Aankhe michti hui uthti hu mai, aur muskurati hun, ki sab jhuti hain ye Khwahishen.