Ganga ya Samudra
Kuch dino pehle ki gai yatra me zyadatar samay samudra ki lehron ko samajhne me beeta. Par inn kshano me Samudra aur iski itni vishaal lehren bhi Ganga se chhoti maalum padti thin. Ganga jo jitni shaant hai utni hi gehri bhi, Jahan do sidiyon ke baad kadam apne aap hi ruk jate Hain iski genraiyon see.., vahi Samudra das kadam chalne ke baad apni gehrai dikhata hai, Jahan Samudra dridta ka pratik ni hai aur uski lehren kabhi sirf 100 metre to kabhi 1km aage Tak aa jaati Hain, vahin Ganga sirf or sirf apni dridta ka pratik hai.., Jo saalon se apne kinaron pe adig hai aur kinaron ke rahgeeron ki pyaas bujhati hai, Vahi Samudra athah jal hone ke baad bhi ek bhi manushya ki pyaas ni bujha pata…
Pata ni Ganga zyada gehri hai ya ki mera uspe vishwaas., Par jo bhi hai mann abb sirf Ganga kinare hi saas leta hai.